Faasale ayse bhi honge ye kabhi socha na tha 
samane baitha tha mere aur vo mera na tha 
wo ki Khushbu kii tarah phailaa thaa mere chaar su
main use mahasuus kar sakataa thaa chhu sakataa na tha 
raat bhar us kii hii aahat kaan main aatii rahii
jhaaNk kar dekhaa galii main koii bhii aayaa na tha 
aks to maujood the par aks tanhaaii ke the
aainaa to thaa magar us main teraa cheharaa na tha 
aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
aaj main royaa to mere saath wo royaa na tha 
ye sabhii viiraaniyaa us ke judaa hone se thii
aaNkh dhuNdhalaai huwii thii shahar dhuNdhalaya na tha 
yaad karake aur bhii takleef hotii thii "Emran"
bhool jaane ke siwaa ab koii bhii chaaraa na thaa 
 
 
 
meri sulagti tanhai ko wo zalim kya samjhe ga
mai har rooz jalta hon ek parwanay ki tarha
 
 
No comments:
Post a Comment